8 Powerful Dialogues By Rupali Ganguly In The Show Anupamaa

Author | Meghna Rajpal

"Mard haath uthaye to chalta hai par aurat agar awaaz uthaye toh baat chubh jaati hai"

"Dusro ke liye jeena hai ye aurat ko to sab sikhaate hain, par apne liye bhi jeena hai ye usse khud ko yaad dilaana padta hai"

"Jo dusron ko neecha dikhaane mei uljhe rehte hain na wo khud unchaiyon tak nahi pohoch paate."

"Joh rishte takdeer mein nahi hote voh tasveer mein bhi nahi hone chahiye"

"Hinsa ka matlab sirf haath uthana nahi hota, aage badne se rokna, roj-roj taane dena, beizzat karna, ghut-ghut kar jeene par majboor karna, ye bhi hinsa hai"

"Galti ki maafi hoti hain par dhoke ki nahin"

"Main ghumu, firu, naachu, gaau, hasu, khelu, baahar jaau, akeli jaau, kisi aur ke sath jaau, jaha jaau, jab jaau, jaise bhi jaau, aapko kya?"

"Mard ke haath mei toh sirf degree hoti hai, par aurat ke haath mei chimta, belan, jhaadu, dawaai ki parchi, dudh ka hisab, godh mei teen bache, kaandhe par saas-sasur aur pati ke 3 time ke khaane, kapde aur safayi ki zimedaari aur paaon mein parampara ki bediyan hoti hain"

Swipe up to read more women empowerment stories on Hauterrfly